Kuchh Log https://www.htsa.co.uk/
Unki Baaten
Har Pal Yaad Aati Hai,
Kuchh Apna Jo Kho Gaya Hai-
Unki Yaad Aati Hai
Satya Bolna Bhi Apraadh Hai
Satya Bolkar
Apradhi Bankar -
Jhuthe Logon Ki Yaad Aati Hai !
Yaad Aati Hai, Bahut Yaad Aati Hai
Mahfil Me Unhi Ki Ezzat Hai
Edhar Ki Baaten Udhar Ko Karte Hain
Enki Bhi Jay
Unki Bhi Jay
Sabki Jay Jaykaar Yaad Aati Hai
Mahfil Me Mujrim Bankar
Mujrim Ki Yaad Aati Hai !
Yaad Aati Hai, Bahut Yaad Aati Hai
Jo Sabko Apne Mehfil Bithate Hain
Unhi Ke Paison Se Khaate Hain
Aur unhen bhi Khilate Hain
Har Pal Apnapan Dikhar
Har Kamjori Jaan Jaate Hain
Fek Dete Hain Dudh Ki Makhhi Ki Tarah
Aur Usi Ko Gaddar Ki Upadhi De Jaate Hain
Gaddar Bankar, Unhi Gaddaron Ke Yaad Aati Hai
Yaad Aati Hai, Bahut Yaad Aati Hai
Har Ek Wah Saks, Uska Saath Deta Hai
Yah Sochakr, Mujhe Kya ?
Aur Ek Din Uski Bhi Bari Aati Hai
Wah Chup Hokar Chala Jaata Hai
Aur Wah Sikari
Har Satya Wadi Ko Jhuth Fareb
Makkari Gaddari Ka Gyaan Sikhata Hai
Jab Khud Pe Aa Banti Hai
Ek Tagma Use Bhi Dekar
Bahar Kar Diya Jaata Hai
Tagma Lekar, Tagma Dene Walon Ki Yaad Aati Hai
Yaad Aati Hai, Bahut Yaad Aati Hai
Kitne Saathi Meele- Jindgi Ke Es Mele Me
Jinhone Kaha Mat Fason -Esh Jhamelon Me
Lolu (Murkh) Bankar Hi Rahna Sikho
Sab Kuchh Kud Hi Kar Lene Ki Mat Tamanna Rakho
Jo Hota Hai Hone Do
Tum Badal Nahi Sakte Kuchh Bhi
Jo Khota Hai Khone Do
Aise Doston Ki Nasihat Yaad Aati Hai
Yaad Aati Hai, Bahut Yaad Aati Hai